Anaath ka Sapna - अनाथ का सपना
*This is my one of best poems* Anaath ka Sapna Main, jiska na koi sahaara tha.. Na khaane ko roti.. Na rehne ko ghar.. Bin maa-baap ke jeeta.. main vo bechara tha.. Gareebi me raha, gareebi me jiya.. Sapno me bhi gareebi dikhti thi.. Na jaane kitni raatein.. Na jaane kitni raatein bhooka so gya.. Bhook mitaane ko bhi zindagi bikti thi.. Jis umar me khelta har koi.. Malmal ke bistar pe sota hai.. Is anath ka bachpan mar gya.. Bina maa ki godd vo rota hai… Maa ki mamta paane ko firta mai maara-maara tha.. Bin maa-baap ke jeeta.. main vo bechara tha.. Na yaad taarikh janam ki.. Jis din mai dharti pe aya tha.. Na yaad akkas vo mamta ka.. Jisne mujhe banaaya tha.. Nahi pata kisne yun chalna sikhaya tha.. Na pata kisne girne pe uthaya tha.. Kehte hai.. Kismat me rona he likha ho.. toh vajah bhi yun ban jati hai.. Maa-baap ke pyaar ki pyaas me.. Is anaath ki zindagi gujar jati hai.. Sapne me ? Sapne me toh main bhi maa ki aankh ka...