Posts

Showing posts with the label yaar

Diwaana hua

Image
Mere sheher me kisi ka yun ana hua.. Hawaayon ka shor fir rozaana hua.. Dastakey jo baar baar deti thi zindagi.. Aaj kisi ke kadmo ka nazraana hua.. Chand lamho ki baat thi bas.. Unke muskuraane bhar ki baat thi bas.. Humse humi ko chura le gye.. Dil is kadar humse begaana hua.. Aankho me unki ajab si kashish.. Nazre milte he koi afsaana hua.. Gussa bhar k jab vo bethi hoti.. Unke intejaar ka bhi fir bahana hua.. Beshak vo roothi hai mujhse.. Khata humne bhi aisi kar jo di.. Khwaab purey huye toh darr bhi lagta.. Mera dil jo us khwaab ka diwaana hua.. ❤

Ik khayaal - इक ख़्याल

Ik khayaal Kabhi kabhi mann me ikk khayaal sa aata hai.. Kon hai vo jo paas ho ke bhi akela chhod jaata hai.. Kon hai vo jo akela hone par   he paas aata hai.. Or kon hai vo.. jo har dam saath nibhaata hai.. Bas isi soch me aajkal.. raatein guzar jati hai.. Koi toh hai jiski bohat yaad aati hai.. Chahiye koi jo har dum saath ho.. mera khaas ho.. Paas rehne ka jiska esa zindagi me ehsaas ho.. Koi door jaaye ya akela chhod jaye.. Ik *khaas* ke hone se duniya bhi hamaare paas ho.. Bhale vo pyaar na ho.. bas mera dosti wala yaar ho.. Koi rahe na rahe.. bas uska or mera zindagi bhar ka saath ho Hindi Language : इक ख़्याल कभी कभी मन मे इक ख्याल सा आता है .. कौन है वो जो पास हो के भी अकेला छोड़ जाता है .. कौन है वो जो अकेला होने पर ही पास आता है .. और कौन है वो .. जो हर दम साथ निभाता है .. बस इसी सोच मे आजकल .. रातें गुज़र जाती है .. कोई तो है जिसकी बहुत याद आती है .. चाहिए कोई जो हर दम ...

People also liked these poems..

वो खिड़की

बारिश सी लगती हैं