Posts

Showing posts with the label child

Maa

Image
माँ कभी सुना हैं , एक अल्फ़ाज़ ,   जिसमे पूरी दुनिया समाती हैं ..   जिसे पुकारते ही , कितनी सुकून भरी ,   मुस्कुराहट आती हैं ..   घर आते ही जिसे खोजता हूँ ,   ना दिखे तो थोड़ा डरता हूँ ..   फिर पूछता हूँ , माँ कब आएगी ..   भले कोई काम ना हो ,   बस माँ का दिखना ज़रूरी हैं ..   उसके होने से हर खुशी ,   ना होने से ज़िंदगी अधूरी हैं ..   ना जाने कितने शब्दो को ,   नया आयाम दिया हैं एक अल्फ़ाज़ ने ..   सुकून , राहत , ज़िंदगी , भगवान ,   कितने ही रूप छिपे हैं माँ में ..   माँ , वो परछाई जिसने हर दफ़ा ,   धूप से बचाया हैं ..   माँ , वो रूह जिसने हर दफ़ा ,   गिरने पे उठाया हैं ..   माँ , वो पहरा जिसने हर दफ़ा ,   मुश्किलो से बचाया है ..   माँ , वो रात जिसने हर दफ़ा ,   ख्वाब देखना सिखाया हैं ..   माँ , वो किताब जिसने हर द...

Vo din

Image
Those days of childhood may never come back now, but those memories will always be best part of our life. Ik sard hawa ka jhonka tha,  Meethi yaado me sanjoya.. Bachpan ki un yaado ne phir, In aankho ko bhigoya.. Vo haath hai mujhko aj bhi yaad, Jisne girne pe sambhaala tha.. Rote huye ko chup kara kar, Haatho se khilaya nivaala tha.. Vo din bhi bade pyaare the, Jab hum aankho ke taare the.. Mai jo ro deta ik baar jor se, Fir sab kuch naam humaare the.. Vo school na jaane ke nakhre the, Padhai se dur jo rehna tha.. Bas milte rhe khilone humko, Santa claus se bas ye kehna tha.. Tiffin me milta khana roz, Par khud ka kabhi na khana tha.. Pal me ro dena, fir muskurana, Bas bachpan ka yahi fasana tha.. Ghar me jab bhi ata koi, Bas hume toh apne "chizi" ki fikar.. Maa se hoti sab baate shuru, Or maa se hota har baat ka jikar.. Bhot si yaadein chhipi hai, Us daur ke sard lifaafo me.. Jab jab khola chup ke se maine, Khwaab utre hai ...

Siskiyan

Image
Story of lady who lost her husband after sometime of marriage.. Waqt mashroof hai apni khurafaato me.. Badal raha har gadhi andheri raato me.. Vo akela sa tanhayi me roti hui... Dhund rhi hai pyaar uski baato me.. Siskiyo me uski awaaz hai dheemi si.. Khauf se bhari aankhein hai sehmi si.. Ab rha na koi haq jataane ko.. Kaash ban jaye chhoti ye galatfehmi si.. Tu chhor gya adhoori raahon me.. Ye shikyaat tumse reh jayegi meri.. Vaada kia tha sath jeene marne ka.. Bewafai na ye bhul payegi teri.. Teri tasveer pe chada haar yaad krata hai.. Tu saath ho ke bas yaado me reh jata hai.. Mai mar k bhi marna chaahti hoon.. Par teri di nishaani ka khayaal aa jata hai.. Jee rhi hoon us nanhi jaan k khatir.. Jisey paya maine tumse tha.. Kaise banayugi firse ab ye ghar.. Jo meri zindagi me bas tumse tha.. Bas tumse tha.. Lout aayo dekho.. us khuda se ijajat le kar.. Kuch pal thore or de jao.. Yaadein rula det...

People also liked these poems..

वो खिड़की

बारिश सी लगती हैं