Posts

Showing posts with the label pyar

घर में

Image
घर में ,   बस हम दोनो ही रहते थे ,   एक वो और एक मैं ,   प्यार बहुत था ,   और तकरार भी ,   और थोड़ी बहुत मार भी ..   उसका मेरे सिवा ना कोई था ,   मेरा बस ,   एक वो ही तो सहारा था ..   शाम ढले वो आता ,   थका हारा बेचारा था ..   मैं प्यार से जाता पास ,   बस बगल मे जा बैठता ..   वो सिर पे हाथ फेर के ,   फिर कानो को था   खींचता ..    बिन बोले वो समझ था जाता ,   कैसे बताऊं ,   क्यूँ मैं उसको इतना चाहता ..   बचपन से ,   उसकी गोद मे खेला ,   हर नखरे को मेरे उसने ,   हँस - हँस के है झेला ..   आज भी उसकी गोद ,   मेरी पसंदीदा जगह हैं ..   मेरे हँसने रोने की ,   बस वो ही एक वजह हैं ..   वो खाना खाए , तो मैं खाऊँ ..   वो रोए तो मैं रोयूँ ..   कभी मैं तकिया , तो कभी वो ,   ब...

Maan Bhi Jaayo

Image
Tujhme rang hazaaro hai.. Mai khali si ik kitaab.. Tere dur kinaare hai.. Mera tu he ek khwaab.. Milna tujhse Paheli sa tha.. Khud me uljha mai jaise.. Vapas ab tak nikal na paya.. Aankho me dooba mai aise.. Tujhe dekh yaadein ayi kuch.. Vapas laut jo chhipi thi kahi.. Tu andhere ko mili roshni c hai.. Umeedo sang bichhi thi yahi.. Tera kehna ishq na hona ab.. Dur hum bhi na ho payege.. Dekho maan jao tum yaar.. Varna hum fir se ro jayege .. Maana thora bura hu mai.. Achha tum bana dena.. Mai jeena bhi jra bhool gya.. Gale lag k vo sikha dena.. Mai bhool gya hoon pyar ko.. Jra vo bhi krna sikha dena.. Zindagi ke bache jo din.. Unhe mere sang bita lena... Suno na, maan bhi jao.. Kyu aise ab tadpaate ho.. Tumhe chahne jo lage h ab.. Shayad Isi haq se rulaate ho?? Bhale nai hu uske jaisa.. Jisey accha itna btate ho.. Dekh lo chalo tum bhi kya.. Bin soche mera, ek din bhi reh pate ho? Ab maan bhi jao.. suno na.. Ab ...

Diwaana hua

Image
Mere sheher me kisi ka yun ana hua.. Hawaayon ka shor fir rozaana hua.. Dastakey jo baar baar deti thi zindagi.. Aaj kisi ke kadmo ka nazraana hua.. Chand lamho ki baat thi bas.. Unke muskuraane bhar ki baat thi bas.. Humse humi ko chura le gye.. Dil is kadar humse begaana hua.. Aankho me unki ajab si kashish.. Nazre milte he koi afsaana hua.. Gussa bhar k jab vo bethi hoti.. Unke intejaar ka bhi fir bahana hua.. Beshak vo roothi hai mujhse.. Khata humne bhi aisi kar jo di.. Khwaab purey huye toh darr bhi lagta.. Mera dil jo us khwaab ka diwaana hua.. ❤

Sapno ki duniya

Image
Sapno ki duniya                                             Maine sapno mein dekha tha, ik rishta toot gaya tha.. Haqiqat ki duniya me, koi apna rooth gaya tha.. Koi paiso ki daud me aage, kisi ka bachpan chhoot gaya tha.. Kuch mar rahe the tanhayi mein, koi aankhein moond gaya tha.. Maine sapno mein dekha tha, ik rishta toot gaya tha.. Haqiqat ki duniya me, koi apna rooth gaya tha.. Kuch kismet ke maare the, toh kuch ehankaar ke sahare the.. Rishto ke har ik dariya ke, bas apne-apne kinaare the.. Vo alag alag se raaste, har ghar mein fir bantwaare the.. Sapno ki us raat ke, bade dardnaak nazaare the.. Maine sapno mein dekha tha, ik rishta toot gaya tha.. Haqiqat ki duniya me, koi apna rooth gaya tha.. Fir socha, Shikaayat karu us bh...

Anjaan, vo shakks

Image
Anjaan, vo shakks Anjaan, vo shakks.. vo chehra.. Chehre pe naqaab, har naqaab pe pehra.. Dhoondta gehriyaio me mai.. Har raaz hai uska gehra.. Har hasi majak me.. Uske rukhe se us andaaz me.. Waqt yunhi guzar jata hai.. Uski khamoshiyo me mera.. Zindgi ka har pal ruk sa jata hai.. Masoomiyat se sawaalo ne.. Dil pe vaar sa kar diya.. Maine aadat nahi banani thi.. Par usne majbur kar diya.. Anjaan, vo shakks .. vo chehra.. Uski ik gujaarish thi.. Shabdo me usey basayu.. Ehmiyat us rooh ki.. Shabdo me kaise btayu?? Koshish ki hai kuch likhne ki.. Kahi jyada na likh jayu.. Bas itni c tamanna.. Vo yaad kre kisi apne ko.. Toh bas dil me mai he ayu :)

Kuch Rang Zindagi Ke

Image
Kuch Rang Zindagi Ke Kuch rang zindagi ke.. Ansune se raago jaise.. Kabhi tute toh kabhi jud gye.. Uljhe se dhaago jaise.. Rishto ke bhoj ke tale.. Meri zindagi ke vo ehsaas the.. Pehle bachpan fir jawani..or fir budhapa.. Har padaav ke kissey khaas the.. Paida hote he ban gya.. Maa-baap ki aankho ka taara.. Unke jeene ka maksad or.. Budhaape ka ik sahara.. Vo panne zindagi ki kitab ke.. Kuch behisaab se likh daale the.. Bas hasna rona or fir has dena.. Bachpan ke din niraale the.. Kuch rang zindagi ke.. Ansune se raago jaise.. Kabhi tute toh kabhi jud gye.. Uljhe se dhaago jaise.. Fir zindagi ke us padav me.. Ik pyaar ka jhonka aya.. Meri zindagi ki kitab par.. Yaado ka dhoka aya.. Zimedaari bhare kandho pe.. Umeedo ka bhar bhi aya.. Jeete the jo mauj se ab tak.. Pehli dafa, Samajhdaari ka bhi khayaal aya.. Kuch rang zindagi ke.. Ansune se raago jaise.. Kabhi tute toh kabhi jud gye.. Uljhe se dhaa...

Valentine Love : Sang Tere Jeena - संग तेरे जीना

Image
Sang Tere Jeena Sang tere jeena.. Sang tere marna.. Naam tere maine khud ko hai karna.. Tu meri saanso me hai basa.. Lage pyaari ishq ki har saza.. Ishq ki baarish me hai tarna.. Sang tere jeena.. Sang tere marna.. Naam tere maine khud ko hai karna.. Saath tera har pal main chahoon.. Tu aakhein.. aansu main ban jayu.. Tu dhadkan..toh main dil hoon tera.. Khush rahe tu.. wajah main ban jayu.. Har kadam tere saath he chalna.. Sang tere jeena.. Sang tere marna.. Naam tere maine khud ko hai karna.. Mujhse aa ke ik baar toh puch.. Pyaar kitna mere dil me hai.. Tere roothne pe har dafa manana.. Saha kitne mere is dil ne hai.. Har khushi ko ab.. naam tere hai karna.. Sang tere jeena.. Sang tere marna.. Naam tere maine khud ko hai karna.. Main deewani hoon teri.. bas teri he hoon.. Tu yaado me meri.. har lamhe me tu.. Raanjha tu mera.. main heer hoon teri.. Is dil me basi ik tasveer hai teri.. Tu saath hai mere.. toh kis se...

People also liked these poems..

वो खिड़की

बारिश सी लगती हैं