Kuch Rang Zindagi Ke


Kuch Rang Zindagi Ke


Kuch rang zindagi ke..
Ansune se raago jaise..
Kabhi tute toh kabhi jud gye..
Uljhe se dhaago jaise..

Rishto ke bhoj ke tale..
Meri zindagi ke vo ehsaas the..
Pehle bachpan fir jawani..or fir budhapa..
Har padaav ke kissey khaas the..

Paida hote he ban gya..
Maa-baap ki aankho ka taara..
Unke jeene ka maksad or..
Budhaape ka ik sahara..
Vo panne zindagi ki kitab ke..
Kuch behisaab se likh daale the..
Bas hasna rona or fir has dena..
Bachpan ke din niraale the..


Kuch rang zindagi ke..
Ansune se raago jaise..
Kabhi tute toh kabhi jud gye..
Uljhe se dhaago jaise..

Fir zindagi ke us padav me..
Ik pyaar ka jhonka aya..
Meri zindagi ki kitab par..
Yaado ka dhoka aya..
Zimedaari bhare kandho pe..
Umeedo ka bhar bhi aya..
Jeete the jo mauj se ab tak..
Pehli dafa,
Samajhdaari ka bhi khayaal aya..


Kuch rang zindagi ke..
Ansune se raago jaise..
Kabhi tute toh kabhi jud gye..
Uljhe se dhaago jaise..

Ab khud se jyda parivaar ki..
Chinta is mann ko satati thi..
Kya kya kiya jarurte puri krne ko..
Ye unki maathe ki lakeere batati thi..

Phle bche the jo ziddi se..
Ab budhapa bhi vaisa hi ziddi sa..
Phle chalte chalte gir jaate the..
Ab gir gir ke vo chalte hai..
Khud sahara jo bane nahi..
Ab sahara paane ko taraste hai..
Antim padav ye zindgi ka..
Bachpan sa he toh hota hai..
Jo mila hume zindgi se..
Vo ik ik kar ke humse khota hai..

Akhir me yun he sabne ..
Mitti me mil jana hai..
Chahe jitni bhi ho badi vo hasti..
Ik din, sabko alvida keh jana hai..


Kuch rang zindagi ke..
Ansune se raago jaise..
Kabhi tute toh kabhi jud gye..
Uljhe se dhaago jaise..


Comments

People also liked these poems..

Main tera he hoon - मैं तेरा ही हूँ

Afsos Sa Hota Hain - अफ़सोस सा होता हैं

Valentine Love : Sang Tere Jeena - संग तेरे जीना