Vigyan Or Dharam


Vigyan Or Dharam

Waqif ho jayega har pehlu se insaan bhi..
Raahein mil jygi jab dharm or vigyaan ki..
Daud Andhvishvas ki jo andhi c chal rhi..
Parte khul jaygi chhipe har vishvas ki..

Ik daur tha bas dharm ka bol bala tha..
Vigyaan ka vartmaan is kadar kala tha..
Fir Badlte waqt ki gawahi mili..
Aavishkaaro ne dia kuch aisa ujala tha..
Duniya ke wajood pe chand sawaal the..
Dharm ke thekedaro ke apne he khayaal the..
Us samay Vigyaan ne yun karwat badli..
Har sawaal ke die usne jawab the..

Waqif ho jayega har pehlu se insaan bhi..
Raahein mil jygi jab dharm or vigyaan ki..
Daud Andhvishvas ki jo andhi c chal rhi..
Parte khul jaygi chhipe har vishvas ki..

Daur badla.. itihas bhi badla..
Takraare dharm or vigyan ki aam thi..
Tark apne the kuch dharm ke..
Daleeley vigyaan ki bhi khaas thi..
Bhagwan na sahi par kuch toh hai...
Adrishye jo shakti anjaan si..
Duniya chal rhi jiske ishaare par..
Akhir maan he gya vigyaan bhi..

Waqif ho jayega har pehlu se insaan bhi..
Raahein mil jygi jab dharm or vigyaan ki..

Adhoora hai vigyaan, dharm ke bina..
Vigyaan ke antt par, dharm ki shuruat hai..
jhuk jata hai jaha vigyaan bhi..
Avishvasniye se har kahani ke jawab hai..
Par..
Dharm ke har andhvishvas ki..
Vigyaan ne buniyaad hilayi hai..
Jaha parde the bhyanak khuaf ke..
Roshni har us koney me failayi hai..

Waqif ho jayega har pehlu se insaan bhi..
Raahein mil jygi jab dharm or vigyaan ki..


Comments

People also liked these poems..

Main tera he hoon - मैं तेरा ही हूँ

Afsos Sa Hota Hain - अफ़सोस सा होता हैं

Valentine Love : Sang Tere Jeena - संग तेरे जीना