Posts

Showing posts with the label likha

Naya saal.. puraani yaadein - नया साल.. पुरानी यादें

Image
Naya saal.. puraani yaadein Pichhli baar ke jaise sab kuch.. Ye saal bhi yun he guzar gaya.. Kuch bigaada hai is saal ne.. Par thoda bohat main sudhar gaya.. Kuch khoya hai maine.. Par paya bhi bohat kuch hai.. Khone par roya bohat main.. Par seekha bohat kuch hai.. Sapne bohat sajaaye the.. Umeedey bohat lagaayi thi.. Iss saal me maine sab ke saath.. Yaadein bohat banayi thi.. Kuch yaadein buri mili toh.. Acha bhi bohat kuch hai.. Roney ko mili wajah hazaaro.. Par hasne ko bhi bohat kuch hai..   Waqt itta tezz chal raha.. Saal aaya or yun chala gaya.. Kisi se milaya mujhe toh.. Koi chhod ke chala gaya.. Pehle jaisa kuch nahi.. Badla bohat kuch hai.. Itna sab hai likh diya.. Par mann me bohat kuch hai.. Hindi Language :   नया साल .. पुरानी यादें पिछली बार के जैसे सब कुछ .. ये साल भी यूँ ही गुज़र गया .. कुछ बिगाड़ा है इस साल ने .. पर तोड़ा बहुत मैं सुधार गया .. कुछ खोया है मैने .. ...

People also liked these poems..

Kashmkash - Song - कशमकश

Parindey

Nanhi zubaan ki shikayat - नन्ही ज़ुबान की शिकायत