Posts

Showing posts with the label poem

बारिश सी लगती हैं

Image
शोर सुना तुमने ?   हवाओं का , उन बादलो का ,   कड़कती हुई उन बिजलियों का ..  उस शोर के जैसे ही वो ,   मेरे शांत मन में , कभी थमती हैं ,   कभी बरसती हैं ..   वो मुझे , बारिश सी लगती हैं ..   तूफान से पहले की खामोशी ,   उसके आने की दस्तक देती हैं ..   ठंडी हवा के झोंके जैसे ,   खिड़की पर आ धमकती हैं ..   गिरती पहली बूँद जब ज़मीन पर ,   दिल पे आ सरकती हैं ..   वो मुझे , बारिश सी लगती हैं ..   जैसे जैसे वो तेज़ होती ,   बिजलियों की गरेज होती ,   बादलो का भी मेल होता ,   सतरंगा फिर खेल होता ,   अपनी हे अलग पहचान होती ,   दुनिया जब हैरान होती ,   कुदरत का फिर नज़ारा होता ,   मानो कोई इशारा होता ..   फिर थक जाती जब बरस बरस के ,   थोड़ी मधम होने लगती हैं ..   धीरे धीरे , वो फिर से अपने ,   आँचल में छिप...

घर में

Image
घर में ,   बस हम दोनो ही रहते थे ,   एक वो और एक मैं ,   प्यार बहुत था ,   और तकरार भी ,   और थोड़ी बहुत मार भी ..   उसका मेरे सिवा ना कोई था ,   मेरा बस ,   एक वो ही तो सहारा था ..   शाम ढले वो आता ,   थका हारा बेचारा था ..   मैं प्यार से जाता पास ,   बस बगल मे जा बैठता ..   वो सिर पे हाथ फेर के ,   फिर कानो को था   खींचता ..    बिन बोले वो समझ था जाता ,   कैसे बताऊं ,   क्यूँ मैं उसको इतना चाहता ..   बचपन से ,   उसकी गोद मे खेला ,   हर नखरे को मेरे उसने ,   हँस - हँस के है झेला ..   आज भी उसकी गोद ,   मेरी पसंदीदा जगह हैं ..   मेरे हँसने रोने की ,   बस वो ही एक वजह हैं ..   वो खाना खाए , तो मैं खाऊँ ..   वो रोए तो मैं रोयूँ ..   कभी मैं तकिया , तो कभी वो ,   ब...

वो खिड़की

Image
वो   खिड़की वो खिड़की देखो दूर से ..   जहाँ रोशनी सी दिख रही ..   जो खुली हुई हैं बाहर को ..   और कुछ बिखरी हुई सी लग रही ..   कुछ हवा ओ   का शोर था ऐसा ..   खड़ खड़ , खड़ खड़ , कर रही ..   वो राहें सुनसान ,   मंज़िलें वीरान ,   शायद इंतजार कर रही ..   क्या रहता उस घर में कोई ?   जहा खिड़की बस खड़क रही ..   क्या दरवाजे पे दस्तक होगी ?   जहाँ वो बेबस तड़प रही ..   चीख रही मानो ,   ज़माने से कुछ कह रही ..   रोशनदान हैं कहते उसको ,   और देखो .. रोशनी भी झलक रही ..   पर अंधेरे में क्यों आख़िर ,   वो भटक रही ..   क्यों भटक रही ?   दरारे भी हैं आन पड़ी ,   तूफ़ानों में झकझोर कर ..   कुछ कीलें आपस में उलझ कर ,   उन दरारों में ही जा फँसी ..   वो खिड़की , टूटी बिखरी ,   बस खड़ खड़ करती जा रही .. ...

Is Diwali

Image
This Diwali, let's be the Change, let's bring the Change ❤  HAPPY DIWALI EVERYONE ❤ Is diwali,  Chalo kuch naya karte hai.. Thora giraate hai, thora uthaate hai.. Giraate hai un khokhli deewaro ko.. Jo baandh rhi insaano ko.. Uthaate hai, un insaano ko.. Jo un deewaro se khokhle ho rhe.. Is diwali, Chalo kuch naya karte hai.. Thora jalaate hai, thora bachate hai.. Jalaate hai un panno ko.. Jo gawahi de rhe gareebi ki.. Bachate hai un gareebo ko.. Jo us gareebi me hai jal rhe.. Is diwali, Chalo kuch naya karte hai.. Thora daraate hai, thora smbhaalte hai.. Daraate hai aaj us shaitaan ko.. Jo insaaniyat bhool gya.. Sambhaalte hai us insaan ko.. Jo zindagi se hai rooth gya.. Is diwali, Chalo kuch naya karte hai.. Thora rulaate hai, thora hasaate hai.. Rulaate hai un nazro ko.. Jo apni hadh se paar chali gyi.. Hasaate hai un hontho ko.. Jinko muskurahat kabhi mili nahi.. Is diwali.. Chalo kuch na...

Haan, Vo Gareeb Hai

Image
Trying a little effort of depicting the situation of present India. What's happening and how a poor person is getting poor day by day, and how he suffers throughout his life. Vo bhooka hai, usey khana naseeb nahi.. Vo vyarth hai, usey khana munasib nahi.. Usey bhook hai khaane ki.. Thora khud, thora bacho ko khilaane ki.. Or , Vo bhook se jyda kha leta.. Na koi parwah khaane ko giraane ki.. Us bhooke ko fikar nahi chahe jhoota ho.. Na fikar koi is nazar zamaane ki.. Vo ik niwaale ko jo taras rha.. Himmat nahi uski ik tukda bhi gawaane ki.. Khud toh bhooka so jata vo.. Bacho ko bhooka kaise dekhe.. Ik ik kar ke sab utha liye usne.. Jo logo ne,.. Kutte ko khaane ko fenke.. Haan, vo gareeb hai.. jo bas kismat ka faqeer hai.. Mehnat karta jo din raat bhar.. 3 waqt roti na uska naseeb hai.. Haan, vo gareeb hai.. Jiske lafzo me tahzeeb hai.. Khaane ko mohtaaz jo.. Dil se jo ameer hai.. Haan vo gareeb hai.. Har roz j...

Vo din

Image
Those days of childhood may never come back now, but those memories will always be best part of our life. Ik sard hawa ka jhonka tha,  Meethi yaado me sanjoya.. Bachpan ki un yaado ne phir, In aankho ko bhigoya.. Vo haath hai mujhko aj bhi yaad, Jisne girne pe sambhaala tha.. Rote huye ko chup kara kar, Haatho se khilaya nivaala tha.. Vo din bhi bade pyaare the, Jab hum aankho ke taare the.. Mai jo ro deta ik baar jor se, Fir sab kuch naam humaare the.. Vo school na jaane ke nakhre the, Padhai se dur jo rehna tha.. Bas milte rhe khilone humko, Santa claus se bas ye kehna tha.. Tiffin me milta khana roz, Par khud ka kabhi na khana tha.. Pal me ro dena, fir muskurana, Bas bachpan ka yahi fasana tha.. Ghar me jab bhi ata koi, Bas hume toh apne "chizi" ki fikar.. Maa se hoti sab baate shuru, Or maa se hota har baat ka jikar.. Bhot si yaadein chhipi hai, Us daur ke sard lifaafo me.. Jab jab khola chup ke se maine, Khwaab utre hai ...

Siskiyan

Image
Story of lady who lost her husband after sometime of marriage.. Waqt mashroof hai apni khurafaato me.. Badal raha har gadhi andheri raato me.. Vo akela sa tanhayi me roti hui... Dhund rhi hai pyaar uski baato me.. Siskiyo me uski awaaz hai dheemi si.. Khauf se bhari aankhein hai sehmi si.. Ab rha na koi haq jataane ko.. Kaash ban jaye chhoti ye galatfehmi si.. Tu chhor gya adhoori raahon me.. Ye shikyaat tumse reh jayegi meri.. Vaada kia tha sath jeene marne ka.. Bewafai na ye bhul payegi teri.. Teri tasveer pe chada haar yaad krata hai.. Tu saath ho ke bas yaado me reh jata hai.. Mai mar k bhi marna chaahti hoon.. Par teri di nishaani ka khayaal aa jata hai.. Jee rhi hoon us nanhi jaan k khatir.. Jisey paya maine tumse tha.. Kaise banayugi firse ab ye ghar.. Jo meri zindagi me bas tumse tha.. Bas tumse tha.. Lout aayo dekho.. us khuda se ijajat le kar.. Kuch pal thore or de jao.. Yaadein rula det...

Diwaana hua

Image
Mere sheher me kisi ka yun ana hua.. Hawaayon ka shor fir rozaana hua.. Dastakey jo baar baar deti thi zindagi.. Aaj kisi ke kadmo ka nazraana hua.. Chand lamho ki baat thi bas.. Unke muskuraane bhar ki baat thi bas.. Humse humi ko chura le gye.. Dil is kadar humse begaana hua.. Aankho me unki ajab si kashish.. Nazre milte he koi afsaana hua.. Gussa bhar k jab vo bethi hoti.. Unke intejaar ka bhi fir bahana hua.. Beshak vo roothi hai mujhse.. Khata humne bhi aisi kar jo di.. Khwaab purey huye toh darr bhi lagta.. Mera dil jo us khwaab ka diwaana hua.. ❤

Kuch hastrate thi

Image
kuch hasrate thi, dabi dabi si.. aj halki si kuch jhalak dikhi thi.. khamosh thi ab tak jo raahein sooni, ek baarish se vo, bol padi thi.. vo dabe pao se aake chupke.. mujhse kuch keh gyi.. galatfehmiya saari mann ki.. baarish aane se sab beh gyi.. kuch badla toh jrur tha.. har raat jo badli chhayi thi.. mere toot te honsle ko.. ek nayi subah dikhlayi thi.. jo chhipe bethe the darr se kahi.. vo khwaab aj saamne aye hai.. laakho hai sawaal jo kahi.. vo jawaab mangne aaye hai.. tu rukna nahi, gir gya toh.. tu udne k liye bana hai.. ye hasrate meri boli thi mujhe.. tu jitne k liye bana hai.. कुछ हसरते थी कुछ हसरते थी, दबी दबी सी.. आज हल्की सी कुछ झलक दिखी थी.. खामोश थी अब तक जो राहें सूनी, एक बारिश से वो, बोल पड़ी थी.. वो दबे पाओ से आ कर चुपके.. मुझसे कुछ कह गयी.. ग़लतफहमिया सारी मन की.. बारिश आने से सब बह गयी.. कुछ बदला तो जरूर था.. हर रात जो बदली छाई थी.. मेरे टूटते...

Akhiri Panna

Image
Akhiri Panna Zindagi ki kitaab ka.. Aj akhiri ye panna.. Likhne chala hoon.. jo dil me thi tammana.. Khwaab bohot the, asma se uche mere.. Saare ke saare maine bhoole the piche tere.. Udna tha mujhko yun panchi khula sa.. Har baar girne par, diya tha dilasa.. Manzil thi dur meri.. raahein bhi bhatka.. Jaane kyun main tere vaado me atka.. Koshish ki thi maine.. sang tere chalne ki.. Tu jo juda hui.. piche tere marne ki.. Roya bohot tha, chhoota jo hath tera.. Duniya he kho gyi.. rootha jo yaar mera.. Aj bhi hai mujhko teri yaad hai aati.. Tujhko toh bas hichkiya satati.. Tu aa bhi jaye toh, mai na aa pauga.. In akhiri lafzo sang, dur chala jauga.. Dur chala jauga.. Zindagi ki kitaab ka.. Aj akhiri ye panna.. Likhne chala hoon.. jo dil me thi tammana.. You can also follow us at  Facebook : https://www.facebook.com/Poempitara Instagarm :  @poempitara

Ek Noor, Ek Chehra

Image
Ek Noor, Ek Chehra Ek noor, ek chehra.. Meri rooh ka adhoora hissa.. Jannat si thi han duniya meri.. Mashhoor tha vo pyar ka kissa.. Kuch gairo ki najre lag gyi.. Galtiya kuch meri thi.. Aaj dekhne ko bhi naseeb nahi.. Jo dil ki amanat meri thi.. Waqif hum bhi na the anjaam se.. Vo khud bhi yun he anjaan the.. Do jism ek jaan huya jo karte the.. Aj rishtey sab huye benaam the.. Dur hona he likha tha shayad.. Vo chand dino ke mehmaan the.. Dil toota, par shor bhi na hua.. Raahein-e-kismat ab sunsaan the.. Khair ab umeedo ka bojh nahi.. Khatam baaton ka vo silsila.. Vo mila nahi mujhe beshak.. Par mera wajood mujhse ja mila...

People also liked these poems..

वो खिड़की

बारिश सी लगती हैं