Siskiyan
Story of lady who lost her husband after
sometime of marriage..
Waqt
mashroof hai apni khurafaato me..
Badal
raha har gadhi andheri raato me..
Vo akela
sa tanhayi me roti hui...
Dhund rhi
hai pyaar uski baato me..
Siskiyo
me uski awaaz hai dheemi si..
Khauf se
bhari aankhein hai sehmi si..
Ab rha na
koi haq jataane ko..
Kaash ban
jaye chhoti ye galatfehmi si..
Tu chhor
gya adhoori raahon me..
Ye
shikyaat tumse reh jayegi meri..
Vaada kia
tha sath jeene marne ka..
Bewafai
na ye bhul payegi teri..
Teri
tasveer pe chada haar yaad krata hai..
Tu saath
ho ke bas yaado me reh jata hai..
Mai mar k
bhi marna chaahti hoon..
Par teri
di nishaani ka khayaal aa jata hai..
Jee rhi
hoon us nanhi jaan k khatir..
Jisey
paya maine tumse tha..
Kaise
banayugi firse ab ye ghar..
Jo meri
zindagi me bas tumse tha..
Bas tumse
tha..
Lout aayo
dekho.. us khuda se ijajat le kar..
Kuch pal
thore or de jao..
Yaadein
rula deti hai bas..
Kuch
khushi k pal de jao..
Bin
tumhare zeher si hai zindagi..
Is pyaasi
ko paani de jao...
Kuch is
trh aansoo gir gya tasveer par..
Bewafai
ka daag laga gya taqdeer par..
Taqdeer
ke rang bhi ajeeb hai..
Usey
chheeen bhi lia or jholi bhi bhar gyi..
Sab badal
ke bhi, fir whi la khada ..
Aj bhi
siskiyaa hai us nanhi ki raato me..
Waqt
mashroof hai apni khurafaato me..
Badal
raha har gadhi andheri raato me..
I Hope
you liked this poem, Please do like, comment and share us !
Thank
you!
Comments
Post a Comment