Maan Bhi Jaayo




Tujhme rang hazaaro hai.. Mai khali si ik kitaab..
Tere dur kinaare hai.. Mera tu he ek khwaab..

Milna tujhse Paheli sa tha.. Khud me uljha mai jaise..
Vapas ab tak nikal na paya.. Aankho me dooba mai aise..
Tujhe dekh yaadein ayi kuch.. Vapas laut jo chhipi thi kahi..
Tu andhere ko mili roshni c hai.. Umeedo sang bichhi thi yahi..

Tera kehna ishq na hona ab.. Dur hum bhi na ho payege..
Dekho maan jao tum yaar.. Varna hum fir se ro jayege ..

Maana thora bura hu mai.. Achha tum bana dena..
Mai jeena bhi jra bhool gya.. Gale lag k vo sikha dena..
Mai bhool gya hoon pyar ko.. Jra vo bhi krna sikha dena..
Zindagi ke bache jo din.. Unhe mere sang bita lena...

Suno na, maan bhi jao.. Kyu aise ab tadpaate ho..
Tumhe chahne jo lage h ab.. Shayad Isi haq se rulaate ho??
Bhale nai hu uske jaisa.. Jisey accha itna btate ho..
Dekh lo chalo tum bhi kya.. Bin soche mera, ek din bhi reh pate ho?

Ab maan bhi jao.. suno na..
Ab or bahane buno na..
Ab maan bhi jao..

Will be posting poems of our readers soon <3 span="">
Thank you for so much

Comments

Post a Comment

People also liked these poems..

Main tera he hoon - मैं तेरा ही हूँ

Afsos Sa Hota Hain - अफ़सोस सा होता हैं

Valentine Love : Sang Tere Jeena - संग तेरे जीना