Sapno ki duniya
Maine sapno mein dekha tha, ik rishta toot gaya tha..
Haqiqat ki duniya me, koi apna rooth gaya tha..
Koi paiso ki daud me aage, kisi ka bachpan chhoot gaya
tha..
Kuch mar rahe the tanhayi mein, koi aankhein moond
gaya tha..
Maine sapno mein dekha tha, ik rishta toot gaya tha..
Haqiqat ki duniya me, koi apna rooth gaya tha..
Kuch kismet ke maare the, toh kuch ehankaar ke sahare
the..
Rishto ke har ik dariya ke, bas apne-apne kinaare
the..
Vo alag alag se raaste, har ghar mein fir bantwaare
the..
Sapno ki us raat ke, bade dardnaak nazaare the..
Maine sapno mein dekha tha, ik rishta toot gaya tha..
Haqiqat ki duniya me, koi apna rooth gaya tha..
Fir socha,
Shikaayat karu us bhagwaan se, ye kaise sapne aate
hai?
Kyun itni pyaari duniya mein, nafrat se mujhe daraate
hai..
Toh bhagwaan bola,
Is matlabi se duniya mein, bas sapne he sach dikhaate
hai..
Khuli aankho ki haqiqat mein, dhoke he paye jaate
hai..
Koi rishta tod gaya, toh koi saath chhor gaya..
Apni si is duniya mein, nafrat ko nichod gaya..
Na kadar rishto ki, na pyar apno ka..
Har toote rishte ki jhalak dikhata, vo silsila sapno
ka..
Maine sapno mein dekha tha, ik rishta toot gaya tha..
Haqiqat ki duniya me, koi apna rooth gaya tha..
Nazar lag gayi rishto ko, un anjaane parayo ki..
Jo apne se he lagte the, girgit ke jaise saayo ki..
Kaash,
Badal pata main un sapno ko..
Jaha dard diya tha apno ko..
Maine sapno mein dekha tha, ik rishta toot gaya tha..
Haqiqat ki duniya me, koi apna rooth gaya tha..
nyc poem
ReplyDeleteGhr se nikle the kuch sapno ko Pura Karne K liye, kise Pata tha ki ghr Jana hi ek sapna banjayega
Delete