Reet samay ki - रीत समय की
Reet samay ki Mai tha toh nahi us samay mein.. Par suna bohat kuch hai... Dekha toh nahi kuch aakhon se.. Par padha bohat kuch hai.. Kehte the ghar chhotey the.. par dil bohat bade the.. Jaroorat jab padi saath ki.. ik-duje sang sab khade the.. Ab ghar toh bade ho gaye.. par dil kyun chhota reh gaya..? Sapno ki iss dorh me.. kyun koi akela piche reh gaya.. Pehle jaisa kuch nahi.. badla bohat kuch hai.. Mai tha toh nahi us samay mein.. Par suna bohat kuch hai... Dekha toh nahi kuch aakhon se.. Par padha bohat kuch hai.. Kehte the sab apne the.. tyohaar par mela lagta tha.. Mobile nahi hotey the tab par.. nyotta sab ko milta tha.. Ab apna apna na raha.. paraayo se toh rishta kya raha.. Sahooltey itni mil gayi ab.. Par apni “main” me he mai pista raha.. Rishta banta nahi yaha.. bikharta bohat kuch hai.. Mai tha toh nahi us samay mein.. Par suna bohat kuch hai... Dekha toh nahi kuch aakhon se.. Par padha bohat kuch hai.. Keht...