Bhagat singh laut aao - भगत सिंघ लौट आओ




Bhagat singh laut aao


Assembly me vo ek dhamaka..
Jaalim angrezo ko chetta gaya..
Soyi janta ko jaga gaya..
Ikk chingaari ko aag bana gaya..

Jab desh hamara kar raha tha gulaami..
Angrezo ko mil rahi thi har salami..
Tab utha ik shola jawani ka..
Dhadakta sa.. fadakta sa..
Jab huya dhamaka..
Sooraj se bhi tez vo chamakta tha..

Par.. tumne vo dhamaka kiya kyu ?
Apne bachpan ko..
Apni jawani ko..
Yun sastey me kho diya kyu ?
Kya socha tha tumne..
Khud mar ke hazaaro ko jaga jayoge ?
Rotey huye iss desh ko.. aazaadi dila jayoge ?
Khud mout ke jhooley me jhool ke..
Tum desh ko marne se bacha jayoge ?

Kya tumhe bhavishya ka andaaza tha ?
Ye desh kitne din aazaad rahega..
Kya tumne mann me socha tha ? kya tumne mann me socha tha ?
Tum galat the bhagat..
Areh.. tum galat the bhagat..

Ye desh aaj bhi gulaam hai..
Jaha sirf paise ko he salaam hai..
Yaha janta goongi bethi hai..
Yaha neta behre bethe hai..
Taaqat ke uss jhootey se guroor me..
Kurrsi pe saje bethe hai..

Soney ki chidiya thi ye dharti..
Jaha bhukhmari ka esa saaya hai..
Jaha mamta nahi nirmamta hai..
Aur “raavan raaj” chhaaya hai..

23 march ka vo inkalaabi din tha..
Jab tum hasey desh roya tha..
Aaj taarikh bhool gaya ye desh..
Aaj din bhool gaya ye desh..
Nahi jaanta kya khoya tha..

Bhagat singh tumhari aaj fir..
Mehsoos hoti jarurat hai..
Ek or ehsaan kar jayo..
Soyi janta fir se jaga jayo..
Bas ek baar laut ke aayo..
Fir ek dhamaka kar jayo..
Aur.. fir ek dhamaka kar jayo..

Hindi Language :


भगत सिंघ लौट आओ


असेंब्ली मे वो एक धमाका..
जालिम अंग्रेज़ो को चेता गया..
सोई जनता को जगा गया..
इक चिंगारी को आग बना गया..

जब देश हमारा कर रहा था गुलामी..
अंग्रेज़ो को मिल रही थी हर सलामी..
तब उठा इक शोला जवानी का..
धड़कता सा.. फड़कता सा..
जब हुया धमाका..
सूरज से भी तेज़ वो चमकता था..

पर.. तुमने वो धमाका किया क्यू ?
अपने बचपन को..
अपनी जवानी को..
यूँ सस्ते मे खो दिया क्यूँ ?
क्या सोचा था तुमने..
खुद मार के हज़ारो को जगा जयोगे ?
रोते हुए इस देश को.. आज़ादी दिला जयोगे ?
खुद मौत के झूले मे झूल के..
तुम देश को मरने से बचा जयोगे ?

क्या तुम्हे भविष्य का अंदाज़ा था ?
ये देश कितने दिन आज़ाद रहेगा..
क्या तुमने मन मे सोचा था ? क्या तुमने मन मे सोचा था ?
तुम ग़लत थे भगत..
अरे.. तुम ग़लत थे भगत..

ये देश आज भी गुलाम है..
जहा सिर्फ़ पैसे को ही सलाम है..
यहा जनता गूंगी बैठी है..
यहा नेता बहरे बैठे है..
ताक़त के उस झूठे से गुरूर मे..
कुर्सी पे सजे बैठे है..

सोने की चिड़िया थी ये धरती..
जहाँ भुखमरी का ऐसा साया है..
जहाँ ममता नही निर्ममता है..
औररावण राजछाया है..

23 मार्च का वो इन्क़लाबी दिन था..
जब तुम हँसे देश रोया था..
आज तारीख भूल गया ये देश..
आज दिन भूल गया ये देश..
नही जानता क्या खोया था..

भगत सिंघ तुम्हारी आज फिर..
महसूस होती ज़रूरत है..
एक और एहसान कर जयो..
सोई जनता फिर से जगा जायो..
बस एक बार लौट के आयो..
फिर एक धमाका कर जायो..
और.. फिर एक धमाका कर जायो..



Anybody want any poem on any topic, Leave comments :) I'll soon create poem for you :) Thank You!

Comments

People also liked these poems..

USKI KHAMOSHIYAN

Anaath ka Sapna - अनाथ का सपना

Bandhi Yudh ke