Bandhi Yudh ke


Bandhi Yudh ke

Ek din, Jo lakeer si lagta kismat ki..
Pal me yun badal gayi.. Fiki si pad gyi..
Zindagi ke har pehlu ko.. Is kadar jakhjor gayi..
Majboot kandha tha jo parivar ka.. 
Apahiz sa vo kar gayi..

Han kuch aisi he toh hai.. Us parivar ki takdeer..
Yudh ke us daur me.. Badal gyi jiski tasveer..
Pal pal ki bechaini us maa ki.. Jiska beta yudh me ladta hai..
Bebasi us baap ke chehre ki.. Jiska wajood jung me marta hai..
Sabse pehle desh ke naam.. Har katra khoon ka krta hai..

Us lahu ko pani samjh ke.. Jo bin soche baha dete hai..
Bas kismat ke lekh usey.. Bandhi yudh ke bana dete hai..
Bandhi yudh ke.. Bandhi jung ke..

Jab bhi jata ghar se vo.. Intejaar ki ghadiya de jata hai..
Dukh takleefey parivaar ki.. Vo chhor... desh seva me jata hai..
Saat vachno ko vo chhor ke.. Bas dharti maa ka karz chukata hai..
Ik ik fauji seema par.. Jab lahu paseena bahata hai..
Tab ja ke desh ke har ghar me.. Rahat ka saans ata hai..

Jab hota shaheed koi jung me.. Tab keemat unki lagti hai..
Zindagi purey parivaar ki.. Chand paiso me fir bikti hai..
Par puche un maa-baap se koi.. Kya keemat thi unke laal ki..
Koi puche uski beti se.. Jo sadme se behaal thi..
Arey, koi puche us patni se.. Jiski sooni hui maang thi..

Shaheed huya hai vo fauji.. Koi lavaris mout nahi..
Yudh me ja kar ladne ka.. Har kisi ko shouk nahi..
Na kar payo ijjat toh .. Majak kyun bana dete hai..
Ahsaas har majak ke unhe.. Bandhi yudh ke bana dete hai..
Bandhi yudh ke..
Vo bandhi jung ke..

Comments

Post a Comment

People also liked these poems..

Main tera he hoon - मैं तेरा ही हूँ

Short Stories and Write Ups (Part - III)

Kashmkash - Song - कशमकश